sard na kar mazaq-e-ishq be-KHudi-e-namaz mein

sard na kar mazaq-e-ishq be-khudi-e-namaz mein
aankh ko durbin bana jalwa-gah-e-majaz mein

raaz-e-nizam-e-kaenat un ki nigah-e-naz mein
asliyyat-e-khuda nihan meri khudi ki raaz mein

phir tujhe dhundh legi khud zarf-shanas barq-e-tur
shauq-e-kalim shart hai ishq ke soz-o-saz mein

ya to khudi ko bhul ja ya phir usi ko bhul ja
hiss-e-mughairat na rakh bargah-e-niyaz mein

khirman-e-kaenat ko phunk na de yahi sharar
soz hi soz hi faqat meri khudi ki saz mein

quwwat-e-zabt wassalam taqat-e-sabr alwidaa
phir wahi irtiash hai un ki nigah-e-naz mein

mujh ko na aazmaiye hashr bapa na kijiye
shor-e-nushur hai nihan nala-e-jaan-gudaz mein

tur ko khak kar gaya shams ka khun-baha gaya
lakh chhupa na chhup saka husn harim-e-naz mein

talib gham-nasib ka husn-e-talab to dekhiye
aarzu-e-firaq hai daur-e-wafa-e-naz mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close