sare zakhmon ko zaban mil gai gham bolte hain hum magar zarf se majbur hain kam bolte hain kis qadar tod diya hai use khamoshi ne koi bole wo samajhta hai ki hum bolte hain kya ajab log the guzre hain badi shan ke sath raste chup hain magar naqsh-e-qadam bolte hain waqt wo hai ki khuda khair, ba-nam-e-iman dair walon ki zaban ahl-e-haram bolte hain kahte hain zarf ka sauda nahin karte hum log kis qadar jhut ye sab ahl-e-qalam bolte hain kahin rahte hain dar-o-baam nadamat se khamosh bikhri inton mein kahin jah-o-hasham bolte hain baat bhi karte hain ehsan jatane ki tarah kaise lahje mein ye ab ahl-e-karam bolte hain kaun ye pursish-e-ahwal ko aaya 'tariq' lab hain khamosh magar dida-e-nam bolte hain