sare nuqush jis pe tere aashiyan ke hain dair-o-haram ghubar usi karwan ke hain wadi-e-kohsar-o-bayaban-o-gulistan ajza-e-rang-rang meri dastan ke hain har chand ku-e-yar bahut fasle pe hai badle hue abhi se mizaj aasman ke hain hamdam hansi uda na dil-e-dagh-dagh ki tohfe diye hue ye kisi mehrban ke hain hon zehn ke dariche agar wa to dekh le parwarda sab yaqin mere husn-e-guman ke hain kya dushmanon ki kijiye ai 'dil' shikayaten mare hue to hum karam-e-dostan ke hain