us ne ek bar bhi puchha nahin kaisa hun main khud ko bhi jis ke liye haar ke baitha hun main phul hone ki saza khub mili hai mujh ko shakh se tut ke gul-dan mein rakkha hun main chalta rahta hun to lagta hai koi sath mein hai thak ke baithunga to yaad aaega tanha hun main gum hua khud mein to ek nuqta-e-mauhum hua munkashif hote hi atraf pe chhaya hun main is saliqe se mujhe qatl kiya hai us ne ab bhi duniya ye samajhti hai ki zinda hun main phir achanak ye hua jit gai ye duniya main samajhta tha ki bas jitne wala hun main wo bhi rasman yahi puchhega ki kaise ho tum main bhi hanste hue kah dunga ki achchha hun main