sargoshiyan karenge hawaon ke kan mein

sargoshiyan karenge hawaon ke kan mein
ab sher hum kahenge jaziron ki shan mein

jalne lagi hain sansen hararat se itni kyon
puchha ye ek parind ne mujh se udan mein

shoale nikal rahe hain sahaara ke dasht se
aatish-fishan ke dhabbe hain girti chatan mein

khatre mein hai ye qimti hiron ki sarzamin
baithe hain na-bakar se dushman machan mein

lamhat kitne baqi hain suraj ki maut mein
kab tak rahega tir bhi aakhir kaman mein

rahta ho jin makinon ko har dam fana ka khauf
kya zindagi karenge wo aise makan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close