sari tabiren hain us ki sare khwab us ke liye har sawal us ke liye hai har jawab us ke liye hijr ke lamhe shumaren ya lakiren harf hum har hisab us ke liye hai har kitab us ke liye qurb us ka hai hamari wapsi ka muntazir jhelte hain hum bhi duri ka azab us ke liye wo hamare waste rahta hai har dam muztarib hum bhi hain aae hue zer-e-itab us ke liye us ke har dukh ka mudawa apne bas mein bhi nahin ashk-e-khun us ke liye hain dil kabab us ke liye man ki har khwahish ko wara us ki chahat par 'shafiq' khil rahe hain tan pe zakhmon ke gulab us ke liye