shakl jab bas gai aankhon mein to chhupna kaisa dil mein ghar kar ke meri jaan ye parda kaisa ba-adab hain tere sab kushta-e-naz ai qatil sans lenge na dam-e-zabh tadapna kaisa aap maujud hain hazir hai ye saman-e-nashat uzr sab tai hain bas ab wada-e-farda kaisa teri aankhon ki jo tarif suni hai mujh se ghurti hai mujhe ye nargis-e-shahla kaisa hath badhte hain gareban ki taraf panw nikal al-madad josh-e-junun sabz hai sahra kaisa ai masiha yunhi karte hain marizon ka ilaj kuchh na puchha ki hai bimar hamara kaisa garm-bazari-e-khurshid-e-qayamat hui sard hashr mein dagh-e-mohabbat mera chamka kaisa kya kaha tum ne ki hum jate hain dil apna sanbhaal ye tadap kar nikal aaega sanbhalna kaisa munh dikhae na khuda hijr ki shab ka 'akbar' khauf is ka hai hamein hashr ka dhadka kaisa