sarshaar hun saqi ki aankhon ke tasawwur se hai koi gharaz mujh ko baada se na saghar se is daur mein maikhane ka nazm nirala hai pi kar koi bahke hum ek jura ko bhi tarse kitne hain jo ek qatra se pyas bujhate hain sairab nahin hote kuchh log samundar se hushiyar bahut rahna hai aaj ke rahi ko jitna nahin rahzan se dar utna hai rahbar se jurat ke dhani jo hain mai-khana hi un ka hai jurat na ho jis mein wo ek jam ko bhi tarse us dil ko samajhna kuchh aasan nahin pyare ye sakht hai patthar se nazuk hai gul-e-tar se socha tha na paimana ab munh se lagaunga kya khair ho tauba ki jab ghir ke ghata barse un se koi kah de wo khud apna muqaddar hain jo log gila karte hain apne muqaddar se