zamin par fasl-e-gul aai falak par mahtab aaya sabhi aae magar koi na shayan-e-shabab aaya mera khat padh ke bole nama-bar se ja khuda-hafiz jawab aaya meri qismat se lekin la-jawab aaya ujale garmi-e-raftar ka hi sath dete hain basera tha jahan apna wahin tak aaftab aaya 'shakil' apne mazaq-e-did ki takmil kya hogi idhar nazron ne himmat ki udhar rukh par naqab aaya