sau bar yun garajne ko baadal garaj gaya lekin zamin-e-khushk ko kuchh bhi na taj gaya ghar ja ke motiyon ki tarah jagmaga uthi main apne sath le ke jo dariya ki raj gaya har tajwar ki taj-wari zer-e-khak hai lekin abhi kulah-e-ana ka na kaj gaya jab bhi tere khayal ki khushbu mahak uthi kamra suhag-raat ke phulon se saj gaya do mehr-o-mah ek hi qalib mein dhal gae aksar shab-e-visal ka jab ek baj gaya zahid main aaj tak na haram tak gaya magar ku-e-sanam mein roz hi karne ko haj gaya barson se fan ki kisht thi banjar padi hui ai 'kaif' tere khun se kya kya upaj gaya