tere andaz-o-naz mein kya hai lutf raaz-o-niyaz mein kya hai sajda karte hain hum bhi but ko aur shaikh sahib namaz mein kya hai us ko manhus kahte hain kyon log charkh-e-gardun-faraaz mein kya hai sare rindon se wo nirali baat zahid-e-pak-baz mein kya hai hum se puchho tum us ko kya jaano lutf soz-o-gudaz mein kya hai kuchh na samjhe ye rah-rawan-e-adam is nasheb-o-faraaz mein kya hai but-paraston ka ek jamghat hai is se badh kar hijaz mein kya hai mai to ek manfat ki chiz hai shaikh uzr is ke jawaz mein kya hai hai haqiqat mein kaun sa wo lutf aur zahid majaz mein kya hai tum to kahte the dil mein kya jaanun aur ye zulf-e-daraaz mein kya hai charkh se puchho to 'fahim' tere ab dil-e-kina-saz mein kya hai