talib khuda se adl ke khwahan karam ke hain mazlum hum buton ke jafa-o-sitam ke hain ummidwar-e-jah na talib hasham ke hain hum baadshah kishwar-e-ishq-e-sanam ke hain duniya sara hai hum hain musafir thahar gae mulk-e-baqa se aae hain aazim adam ke hain dil bhi jigar bhi jaan bhi sina bhi ishq mein ye sab makan sadma-o-dard-o-alam ke hain talib hain ganj-e-wasl ke ek samt mein se ye 'ahqar' to aaj pher mein gahri raqam ke hain