zehn mein charaghan hai ruh jagmagai hai sham ke dhundlakon mein yaad teri aai hai kal khizan mein diwane be-niyaz-e-daman the fikr-e-pairahan ab hai jab bahaar aai hai khud ulajh gae aakhir jo chale the suljhane gesu-e-pareshan se wo shikast khai hai zulmat-e-shab-e-gham mein zindagi ki rahon par shama-e-arzu hum ne muddaton jalai hai tum hi gesuon walo chhanw le ke aa jao zindagi ki rahon par tez dhup chhai hai kash daulat-e-gham hi apne pas bach rahti wo bhi un ko de baithe aisi mat khai hai aap roe kyun aakhir sun ke qissa-e-'manzur' aap hi bataen to aankh kyun bhar aai hai