subh-e-qayamat jin honton pe dilase dekhe kya lab-e-dariya un jaise bhi pyase dekhe kaun wafa ki manzil se is shan se guzra chaak-e-qaba dekhe jo koi bala se dekhe hathon mein mizan labon par hukm-e-qaza hai hakim-e-shahr bhi aksar hum ne khuda se dekhe dekhne wale yun to bahut dekhe hain lekin mar jaun jo koi teri ada se dekhe jin ko zom tha band-e-mizha ki mazbuti par un aankhon se bahte hue dariya se dekhe jin hathon se batti khairaaten dekhi thin in aankhon se un hathon mein kase dekhe is shahr-e-na-pursan mein hum ne to 'azar' chehre gulon se dekhe dil sahra se dekhe