soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshad kiya ja tujhe kashmakash-e-dahr se aazad kiya wo karen bhi to kin alfaz mein tera shikwa jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya dil ki choton ne kabhi chain se rahne na diya jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya ai main sau jaan se is tarz-e-takallum ke nisar phir to farmaiye kya aap ne irshad kiya is ka rona nahin kyun tum ne kiya dil barbaad is ka gham hai ki bahut der mein barbaad kiya itna manus hun fitrat se kali jab chatki jhuk ke main ne ye kaha mujh se kuchh irshad kiya meri har sans hai is baat ki shahid ai maut main ne har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiya mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shayad log kahte hain ki tum ne mujhe barbaad kiya kuchh nahin is ke siwa 'josh' harifon ka kalam wasl ne shad kiya hijr ne nashad kiya