shikwa nahin gila nahin rabt koi baham nahin

shikwa nahin gila nahin rabt koi baham nahin
rasm-e-salam kya jahan pursish-e-haal-e-gham nahin

go ki nahin nigah mein dil se nahin ho dur tum
dida-e-dil ke waste fasla besh-o-kam nahin

bazm se aap kya gae raunaq-e-bazm le gae
ab wo surur-e-dil kahan aap gae to hum nahin

aap ki yaad aa gai dil pe khushi si chha gai
ab mujhe gham se wasta ab mujhe koi gham nahin

pahla sa wo karam kahan lutf ki wo nazar kahan
hai ye sitam ki intiha koi naya sitam nahin

us ki nigah-e-mast ka ab bhi khumar hai magar
saqi-e-dil-nawaz ka pahla sa wo karam nahin

daman idhar hai tar tar rukh pe nahin udhar naqab
ishq agar hai be-waqar husn ka bhi bharam nahin

manzil-e-zindagi na puchh sirf safar hai zindagi
panw utha qadam badha hosh sambhaal tham nahin

dekh kar un ke iltifat rah gai dil ki dil mein baat
hosh gaya jo wo gae aae to dam mein dam nahin

minnaten shaikh-o-barahman kijiye kis liye 'habib'
dil hai meri nigah mein dair nahin haram nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close