shahar mein rang hai na khushbu hai phir bhi charcha usi ka har-su hai bah raha hai muhib sannata pa-ba-gil sabza-e-lab-e-ju hai ghup andhere ka jal raha hai charagh raushni ka ajib jadu hai be-dili hai nasib-e-dam-e-khayal aarzu ek ramida aahu hai sina-e-sang par thethurta hua shakh-e-gul ka gudaz pahlu hai shiddat-e-karb se nidhaal nahin aankh mein jam gaya jo aansu hai ek zarra nahin jo mil jae aur bapa mahshar-e-tagapu hai dard ne badh ke aashkar kiya maut par zindagi ka qabu hai mujh ko dekhen 'nazar' jo kahte hain aadmi, aadmi ka daru hai