tamam umr ki aawargi pe bhaari hai wo ek shab jo teri yaad mein guzari hai suna raha hun badi sadgi se pyar ke git magar yahan to ibaadat bhi karobari hai nigah-e-shauq ne mujh ko ye raaz samjhaya haya bhi dil ki nazakat pe zarb-e-kari hai mujhe ye zoam ki main husn ka musawwir hun unhen ye naz ki taswir to hamari hai ye kis ne chhed diya rukhsat-e-bahaar ka git abhi to raqs-e-nasim-e-bahaar jari hai khafa na ho to dikha den hum aaina tum ko hamein qubul ki sari khata hamari hai jahan-panah-e-mohabbat janab 'shabnam' hain zaban-e-sher mein farman-e-shauq jari hai