un ko ehsas-e-gham nahin hota

un ko ehsas-e-gham nahin hota
kyon ye ehsas kam nahin hota

waqt likhta hai sab ki taqdiren
hath mein go qalam nahin hota

main hun unwan us fasane ka
jo ki sarf-e-qalam nahin hota

faeda kya hai aise rone se
un ka daman jo nam nahin hota

tum mere sath sath chalte ho
kyon ye ehsas kam nahin hota

sab pe rahmat teri barasti hai
ek hum par karam nahin hota

muskurana bhi fan hai duniya mein
kis ki duniya mein gham nahin hota

sar jhukate nahin hain hum jis ja
tera naqsh-e-qadam nahin hota

ek wo dil ki tut jate hain
ek ye sar ki kham nahin hota

un ke gham se jo dosti hai 'sahar'
ab kisi gham ka gham nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close