sitam tir-e-nigah-e-dilruba tha hamare haq mein paigham-e-qaza tha hua achchha ki wo ghar se na nikle kise malum kis ke dil mein kya tha mujhe wo yaad karte hain ye kah kar khuda bakhshe nihayat ba-wafa tha ummid-e-wasl ki haalat na puchho faqat ek aasra hi aasra tha bahut achchha hua wo le gae dil bada ziddi nihayat bewafa tha nahin malum us kam-sin ko ye bhi hamare dil mein kya hai aur kya tha na puchho jalwa-gah-e-naz ka jamal har ek mahw-e-jamal-e-dilruba tha suna hai mai-kashi karne laga 'hijr' wo mard-e-ba-khuda to parsa tha