tumhaari chashm ne mujh sa na paya diya surma bhi aur chipka na paya khuda ko kya kahun paya na paya ki wasl-e-be-khudi asla na paya bahut surat ko main tarsa na paya na paya wo bahut tarsa na paya sahab-e-tar ne bahr-e-khushk sab ne hamara dida-e-tar sa na paya chale hum dil jale is bazm se yar jale hathon se ek beda na paya sada suraj ne din bhar us ko dhunda kabhi wo chand ka tukda na paya bahut achchha hua achchhi hai qismat mariz-e-ishq ko achchha na paya jo is gardan ka naqsha hai wo hum ne surahi-dar moti ka na paya durr-e-ashk-e-musalsal ai shah-e-ishq teri daulat se ye sehra na paya bahut sidha banaunga falak ko ki is kaj ko kabhi sidha na paya