shab-e-hijran mein dam nikalta hai kab payam-e-visal talta hai dil-e-bimar se hai tang masih dagh se aaftab jalta hai be-zari se hun paemal-e-butan zor kis ka khuda se chalta hai dil na le ai sanam barae-khuda is se kuchh ji mera bahalta hai aatish-e-ishq zulf-e-pechan hai haddiyon se dhuan nikalta hai tere hansne pe main jo rota hun abr manind-e-barq jalta hai tujh se ai ashk mah-e-furqat ho rang kya kya falak badalta hai apne bimar ko na puchh masih ab koi dam mein dam nikalta hai dagh ka jism-e-zar se hai farogh khas se jaise charagh jalta hai sard ya arsh pa-e-qatil par lash par wo bhi hath malta hai