wo uTh kar qayamat uThana kisi ka

wo uth kar qayamat uthana kisi ka
wo dil tham kar baith jaana kisi ka

bura gar na mano to itna kahen hum
ki achchha nahin hai satana kisi ka

meri aah ne un ko tadpa diya hai
jinhen khel tha dil dukhana kisi ka

zaban go hui band bismil ki lekin
lab-e-zakhm par hai fasana kisi ka

uthe mere pahlu se dil tham kar wo
qayamat hua yaad aana kisi ka

mere dushman-e-jaan sab ahl-e-jahan mein
ki aashiq hai sara zamana kisi ka

ajab kya hazaron ko bimar dale
kisi ki ayaadat ko jaana kisi ka

tere wasl se naz hai kyon adu ko
rahega na yaksan zamana kisi ka

mujhe aur bhi bad-guman kar raha hai
qasam mere sar ki na khana kisi ka

tadapne mein kya jaane kya munh se nikle
na dukhta hua dil dukhana kisi ka

wo 'naushad' ka chhedna wasl ki shab
wo sharma ke aankhen jhukana kisi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close