shab jo rukh-e-pur-khal se wo burqe ko utare sote hain chashm-e-qamar lagti hi nahin kya balki na tare sote hain band kiye aankhen wo apni nashshe ke mare sote hain waqt yahi hai ghat ka ai dil dekh chikare sote hain hijr mein tere shams o qamar ki aankh lage kya lail-o-nahaar charkh ke kab gahware mein ye ishq ke mare sote hain aaya tha wo mah-jabin iqrar pe aadhi raat ko aah yaro kyunkar jagte rahiye bakht hamare sote hain fursat pa kar hath lagaya panw ko un ke jab main ne kahne lage chal dur sarak mat hath laga re sote hain bistar-e-gul ki baalish-e-par ki un ko nahin kuchh hajat hai sar ko tere zanu par rakh jo shab ko pyare sote hain kya jaane is khwab-e-adam mein lazzat hai jo ahl-e-qubur apne apne ghar mein han yun panw pasare sote hain ek muddat mein phirte phirte munh se suni darban ke ye baat shukr khuda ka apne wo ghar mein aaj to pyare sote hain chori se hum shab ko pahunche panw talak jun duzd-e-hina lekin chaukidar kai nazdik tumhaare sote hain us ke qarib-e-chashm kahan hai khal dila tuk ghaur se dekh kaifiyyat se mast pade dariya ke kinare sote hain wo to kabhi bedari mein juz-khwab nahin milte yaro koi hamein hargiz na uthana hijr ke mare sote hain mang mein teri kyun na karen ushshaq ke dil aaram bhala hain ye musafir raste mein manzil ke mare sote hain chashm-e-mulaqat un se rakhiye tu hi bata kis wajh 'nasir' ghair ki jaanib abru se wo kar ke ishaare sote hain