ye kya ki pahle qarib hona bana ke chalna hai fasla phir ki dasht-e-qurbat mein khud hi khona talash karna hai rasta phir safar hua tha jahan se jari usi jagah par hai lautna phir qadam qadam hadson se ladna na hum se hoga ye hausla phir use udasi mein yaad karna ki yaad kar ke udas hona ye puchh hum se hai kitna mushkil bikharna aur khud ko jodna phir ho aaj-kal tum nahin rahoge koi to lega jagah tumhaari jahan thama tha wahin se lekin shurua hoga ye silsila phir nazar jo aae wo sach nahin hai nazar ko kyun kar nazar bhi aae ki gard chehre se mat hatao lo tod dalo ye aaina phir hamein jazire pe jab utara to is safine pe naz kyun ho ki bahr-e-hasti ka hai ye hasil to is se behtar tha dubna phir koi yahan muskura raha hai kisi ke aansu chhalak rahe hain suna hai main ne mushaere mein hua hai 'talib' ghazal-sara phir