shab khumar-e-husn-e-saqi hairat-e-mai-khana tha aap hi mai aap hi khum aap hi paimana tha kaba-o-dair kalisa mein abas dhunda kiye dil ka har gosha maqam-e-jalwa-e-jaanana tha rang laya hai bara-e-dida-e-anjam jo shama har har zarra-e-khak-e-par-e-parwana tha khami-e-zauq-e-nazar thi warna ai nakaam-e-ishq zarre zarre se numayan jalwa-e-jaanana tha phir wahi saut-e-tarab-afza bane firdaus-e-gosh jis se ek aalam shahid-e-naghma-e-mastana tha did ke qabil tamasha tha ye hangam-e-sahar shama ka har sans mahw-e-matam-e-parwana tha fitna-e-mazhab bhi khud-bini ka ek andaz hai warna kis ko imtiyaz-e-masjid-o-but-khana tha