zindagi jab se shanasa-e-muhaallat hui sach to ye hai ki khud apne se mulaqat hui parda-e-gham jise samjha tha wahi khamoshi kal teri bazm mein mauzu-e-hakayat hui hum ko ai qafila-e-shauq ye kya yaad rahe ki hui subh kahan aur kahan raat hui teri duz-dida-nigahi ka khayal aate hi dil mein ek raushni-e-kashf-e-hijabaat hui is qadar sahl kahan marhala-e-soz-o-gudaz raat bhar shama ka jalna bhi koi baat hui pas-e-adab-e-mohabbat ki ba-in raaz o niyaz muddaton baad-e-saba se na koi baat hui jis ki mahfil ko 'rawish' jannat-e-farda kahiye kal usi khusraw-e-khuban se mulaqat hui