sine ki khanqah mein aane nahin diya hum ne use charag jalane nahin diya duzdan-e-nim-shab ne bhi hile bahut kiye lekin kisi ko khwab churane nahin diya ab ke shikast-o-rekht ka kuchh aur hai sabab ab ke ye zakhm teri jafa ne nahin diya is bar to sawal bhi mushkil na tha magar is bar bhi jawab qaza ne nahin diya kya shakhs tha udata raha umr bhar mujhe lekin hawa se hath milane nahin diya mumkin hai wajh-e-tark-e-talluq usi mein ho wo khat jo mujh ko baad-e-saba ne nahin diya is hairati nazar ki simatti giraft ne uthta hua qadam bhi uthane nahin diya sham-e-widaa thi magar us rang-baz ne panw pe hont rakh diye jaane nahin diya kuchh to 'hasan' wo dad-o-sitad ke khare na the kuchh hum ne bhi ye qarz chukane nahin diya