shab ko tum humse KHafa ho kar sahar ko uTh gae

shab ko tum hum se khafa ho kar sahar ko uth gae
shama san ro ro ke hum bhi dil jigar ko uth gae

the abhi to pas hi apne qarar-o-hosh-o-sabr
tere aate hi na-jaane wo kidhar ko uth gae

tu na nikla ghar se bahar subh se le sham tak
dekh dekh aakhir tere diwar-o-dar ko uth gae

kis se puchhun haal main bashindagan-e-dil ka hae
is nagar ke rahne wale kis nagar ko uth gae

ai khusha we jo ki warasta talluq se hue
jis jagah chaha rahe chaha jidhar ko uth gae

dair-o-kaba hi ko jaana kuchh nahin lazim gharaz
jis taraf pai khabar us ki udhar ko uth gae

shahr mein rone ke hathon jab na rahne pae hum
koh-o-sahra ki taraf le chashm-e-tar ko uth gae

puchhta hai haal kya aawargan-e-hind ka
kuchh idhar ko uth gae aur kuchh udhar ko uth gae

tu akela us jagah baitha karega kya 'hasan'
tere sathi to kabhi ke apne ghar ko uth gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close