zindagi ka nishan hain hum log ai zamin aasman hain hum log roz jite hain roz marte hain kis qadar sakht-jaan hain hum log zindagi muskura to de ek bar ek shab mehman hain hum log suraten dhul ho chuki hain magar husn ke pasban hain hum log khud se milte hain dushmanon ki tarah ghair par mehrban hain hum log ek yahi dard to mila hai hamein sher-o-naghma ki jaan hain hum log shakh-e-gul mein jo hum lachak jaen khinch gae to kaman hain hum log hum se milta hai manzilon ka pata aur khud be-nishan hain hum log ab bhi lipte hain teri thokar se zindagi teri aan hain hum log