shabnam hai ki dhoka hai ki jharna hai ki tum ho dil-dasht mein ek pyas tamasha hai ki tum ho ek lafz mein bhatka hua shair hai ki main hun ek ghaib se aaya hua misra hai ki tum ho darwaza bhi jaise meri dhadkan se juda hai dastak hi batati hai paraya hai ki tum ho ek dhup se uljha hua saya hai ki main hun ek sham ke hone ka bharosa hai ki tum ho main hun bhi to lagta hai ki jaise main nahin hun tum ho bhi nahin aur ye lagta hai ki tum ho