tanha na dil hi lashkar-e-gham dekh tal gaya is marke mein pa-e-tahammul bhi chal gaya hain garm-e-guftugu gul o bulbul chaman ke bich hoga khalal saba jo koi pat mil gaya us shama-ru se qasd na milne ka tha hamein par dekhte hi mom-sifat dil pighal gaya munim tu yan khayal-e-imarat mein kho na umr le kaun apne sath ye qasr-o-mahl gaya lagi na ghair-e-yas hina-e-umid hath duniya se jo gaya kaf-e-afsos mal gaya us rah-rau ne dam mein kiya tai rah-e-adam hasti ke sang se jo sharar sa uchhal gaya dekha har ek zarre mein us aaftab ko jis chashm se ki be-basari ka khalal gaya guzri shab-e-shabab hua roz-e-sheb akhir kuchh bhi khabar hai qafila aage nikal gaya qabil maqam ke nahin 'bedar' ye sarae manzil hai dur khwab se uth din to dhal gaya