wo log aaen jinhen hausla ziyaada hai ghazal mein khun ka masraf zara ziyaada hai sab apne aap ko dohra rahe hain rah rah kar wo is liye ki padha kam likha ziyaada hai ye sach hai koi farishta nahin mere andar magar khata ki ba-nisbat saza ziyaada hai mera khumar utar jae to ye faisla ho teri sharab mein kya kam hai kya ziyaada hai ghazal usi pe dar-e-iltifat kholti hai jise lihaz riwayat ka ziyaada hai