surma-e-chashm banaya dil o jaan par rakkha zahr tha phir bhi use main ne zaban par rakkha is khasare mein ajab tarah ki sarshaari thi dil ko mamur sada kar-e-ziyan par rakkha koi raushan to kare aa ke khad-o-khal mere harf-e-iqan hun auraq-e-guman par rakkha aaj dariya mein ajab shor ajab halchal hai kis ki kashti ne qadam aab-e-rawan par rakkha kya saba kaun saba baad-e-bahaari kaisi ek ek gul ho jahan nok-e-sinan par rakkha ek qalandar ki tarah waqt raha mahw-e-khiram us ne kab dhyan talab shor-e-sagan par rakkha