shafaq jo ru-e-sahar par gulal malne lagi ye bastiyon ki faza kyun dhuan ugalne lagi isi liye to hawa ro padi darakhton mein abhi main khil na saka tha ki rut badalne lagi utar ke naw se bhi kab safar tamam hua zamin pe panw dhara to zamin chalne lagi kisi ka jism agar chhu liya khayal mein bhi to por por meri misl-e-shama jalne lagi main napta chala qadmon se apne sae ko kabhi jo dasht-e-masafat mein dhup dhalne lagi meri nigah mein khwahish ka shaiba bhi na tha ye barf si tere chehre pe kyun pighalne lagi hawa chali sar-e-sahra to yun laga jaise rida-e-sham mere dosh se phisalne lagi kahin pada na ho partaw bahaar-e-rafta ka ye sabz bund si palkon pe kya machalne lagi na jaane kya kaha us ne bahut hi aahista faza ki thahri hui sans phir se chalne lagi jo dil ka zahr tha kaghaz pe sab bikher diya jo apne aap tabiat meri sambhalne lagi jahan shajar pe laga tha tabar ka zakhm 'shakeb' wahin ye dekh le konpal nai nikalne lagi