tu ne kya kya na ai zindagi dasht o dar mein phiraya mujhe ab to apne dar-o-baam bhi jaante hain paraya mujhe aur bhi kuchh bhadakne laga mere sine ka aatish-kada ras tujh bin na aaya kabhi sabz pedon ka saya mujhe in nai konpalon se mera kya koi bhi talluq na tha shakh se tod kar ai saba khak mein kyun milaya mujhe dard ka dip jalta raha dil ka sona pighalta raha ek dube hue chand ne raat bhar khun rulaya mujhe ab mere raste mein kahin khauf-e-sahra bhi hail nahin khushk patte ne aawargi ka qarina sikhaya mujhe muddaton ru-e-gul ki jhalak ko tarasta raha main 'shakeb' ab jo aai bahaar us ne sehn-e-chaman mein na paya mujhe