shahar khamosh hai sab neza-o-khanjar chup hain kaisi uftad padi hai ki sitamgar chup hain khun ka sailab tha jo sar se abhi guzra hai baam-o-dar ab bhi sisakte hain magar ghar chup hain chaar-su dasht mein phaila hai udasi ka dhuan phul sahme hain hawa thahri hai manzar chup hain mutmain koi nahin nama-e-amal se aaj muskuraata hai khuda sare payambar chup hain laut ke aati nahin ab to sada-e-gumbad chup hain sab dair-o-haram masnad-o-mimbar chup hain main jo khamosh tha ek shor tha har mahfil mein meri goyai par ab sare sukhnawar chup hain