suraj ki kiran ka shoabada hai rang-e-rukh-e-zard ud gaya hai naqsh-e-kaf-e-pa ne gul khilae viran kahan ab ye rasta hai jag utthi hain zindagi ki rahen shayad koi chand ko gaya hai sholon se hua tha bagh khali phir sina-e-gul bhadak utha hai patte patte ka rang badla badli badli hui faza hai pahle to na yun kabhi hua tha tu bhi mujhe dekh kar hansa hai beganagi ne ye raaz khola tu mera azal se aashna hai shabnam sar-e-nok-e-khar yani lab pe mere harf-e-muddaa hai har dard nahin dawa ka muhtaj yun bhi to ilaj-e-gham hua hai tera hi rahega bol-baala dil mera abas dhadak raha hai