wo is tarah se meri anjuman mein laut aae bhatak ke jaise parinda watan mein laut aae guzar gai thi koi titli mujh ko chhute hue tamam rang mere pairahan mein laut aae do-chaar din mein hi thak gae the dasht-e-ruh mein hum so ek din usi shahr-e-badan mein laut aae hamare jism mein dhalne lagi thi khamoshi bhala hua ki parinde chaman mein laut aae jab aaya yar to thoda sa uth ke baith gae yun mil ke yar se bazm-e-sukhan mein laut aae bas ek dard ne kya pith thapthapai ki phir tamam husn-o-jamal ahl-e-fan mein laut aae suna hai phir se mohabbat mein log marne lage ye kis zamane ke sikke chalan mein laut aae hui jo sham to phir raat katne ke liye tamam log mere tan-badan mein laut aae