shahr-e-afat mein hangama-e-zindan hai bahut ishq par ab bhi musallat gham-e-dauran hai bahut ab kisi taur mujhe chhu na sakega tera gham ab mere chaaron taraf halqa-e-yaran hai bahut log hote chale jate hain nigahon se pare lekin ek zehn mein wazeh rukh-e-taban hai bahut mustanad kaun se pairae hain sheron ke liye ye parakhne ke liye mir ka diwan hai bahut pyar to pyar kudurat bhi kahan rakhta hai mujhe bhi is ki tarah shikwa-e-insan hai bahut juz mere chhin gaya hai dar-o-diwar-o-fasil 'soz' is bar to kam-zarfi-e-tufan hai bahut