wafur-e-hausla-e-arz-e-muddaa na raha mila jo us se to baqi koi gila na raha ragon se dard ka rishta bhi kham hi nikla kisi ki chashm-e-inayat ka silsila na raha nikal phenk diya dil se sab usulon ko nazar ke samne jab koi rasta na raha mere lahu se hi raushan charagh thi hasti mere hi ghar mein agarche koi diya na raha ajib hai ki hua ru-siyah raqib mera ajib-tar hai ki wo shokh ba-wafa na raha talab mein us ki farozan kiya tha dil ka diya hawa chali to bahut der tak jala na raha