suna ke gham ka tarana suno gaya hai wo suron ke ashk se duniya ko dho gaya hai wo hai us ke husn ke dariya mein aisi tughyani hamare hosh ki basti dubo gaya hai wo har ek qadam pe hai thokar mein zindagi us ki andhere jism ke sahra mein kho gaya hai wo thaka thaka sa badan hai mere takhayyul ka shikasta khwab ke bistar pe so gaya hai wo dayar-e-anjum-o-khurshid se wo aaya tha bagula ban ke khalaon mein kho gaya hai wo tum ishtial ke shoalon ko aur bhadkao lahu ko sabr ke pani se dho gaya hai wo nazara dekhne aaya tha jo bahaaron ka badan ko apne lahu se bhigo gaya hai wo