shahr ka shahr hua jaan ka pyasa kaisa sans leta hai mere samne sahra kaisa mere ehsas mein ye aag bhari hai kis ne raqs karta hai meri ruh mein shola kaisa teri parchhain hun nadan judai kaisi meri aankhon mein phira khauf ka saya kaisa apni aankhon pe tujhe itna bharosa kyun hai tere bimar chale tu hai masiha kaisa ye nahin yaad ki pahchan hamari kya hai ek tamashe ke liye swang rachaya kaisa mat phiri thi ki harifana chale duniya se sochte khak ki mawwaj hai dariya kaisa subh tak raat ki zanjir pighal jaegi log pagal hain sitaron se ulajhna kaisa dil hi ayyar hai be-wajh dhadak uthta hai warna afsurda hawaon mein bulawa kaisa aaj khamosh hain hangama uthane wale hum nahin hain to karachi hua tanha kaisa