tere qarib rahun ya ki main safar mein rahun ye aarzu hai tere halqa-e-asar mein rahun shafaq shafaq mujhe dekhe nigah-e-husn-e-shuur naqib-e-mehr banun naghma-e-sahar mein rahun yaqin ki chhanw mein tujh ko jo nind aa jae main tere khwab ki surat teri nazar mein rahun jamal-e-shahid-e-mani pe jab nikhaar aae khayal-e-husn banun aur sher-e-tar mein rahun ye chahta hun ki maikhane tak rasai ho agar sifal banun dast-e-kuza-gar mein rahun kabhi phirun main bayaban-e-dil mein sargardan kabhi nigar-e-kam-amez ki nazar mein rahun banaen ahl-e-nazar surma-e-nazar mujh ko ghubar ban ke agar teri rahguzar mein rahun tera jamal-e-dil-ara rahe tasawwur mein gulon ki bazm ki main chand ke nagar mein rahun dua-e-nim-shabi wo kare meri khatir kuchh aisa ban ke dil-e-husn-e-ishwa-gar mein rahun mere nasib mein ho tere nam ki surkhi ki jis ka tujh se talluq ho us khabar mein rahun kisi ki bazm mein jaane se faeda kya hai mere liye yahi behtar hai apne ghar mein rahun banun main tere liye wajah-e-lutf-e-lafani ziya-e-ishq ki surat dil-o-jigar mein rahun teri hi samt hamesha ho mera qibla-e-dil hamesha mahw tere husn-e-mo'atabar mein rahun 'zafar' ye mere liye to azab-e-jaan hoga khuda na-karda ki main shahr-e-be-hunar mein rahun