shaiba hijrat ka ab mere irade mein nahin

shaiba hijrat ka ab mere irade mein nahin
dusri ansar ki basti bhi naqshe mein nahin

ishq ko dena pada hai apni sanson ka khiraj
ye bhi tai hai is bina par main khasare mein nahin

khush-guman hain tute phute log bhi is shahr mein
kaun hai wo jo daba khud apne malbe mein nahin

ye alamiya hai chamakte jagmagate daur ka
raushni hote hue bhi hum ujale mein nahin

ho nahin sakti ana ek khaksari se buland
boriye mein jo masarrat hai wo sofe mein nahin

chand lamhon mein hua karta hai tai lamba safar
kya hai wo raftar jo sikkon ke pahiye mein nahin

tu ne kya neamat ata ki hai dil-e-'maqsud' ko
mujh mein hai jo dard wo koi farishte mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close