tark-e-lazzat pe mail jo ba-zahir hai mizaj

tark-e-lazzat pe mail jo ba-zahir hai mizaj
aaj to bagula-bhagat jaise bane hain mahraj

husn-e-maghrur o siyah-fam ka kaise ho ilaj
shakl-o-surat to chudelon ki hai pariyon ke mizaj

chhod aae haram-e-pak mein jins-e-iman
lad kar la na sake jab ki watan tak hujjaj

aise bhi bani-e-be-dad hain kuchh duniya mein
falak-e-pir bhi deta hai jinhen jhuk ke khiraj

husn ki jitni zamin hoti hai na-qabil-e-kasht
ishq paida kiya karta hai sada sab mein anaj

sab kuchh allah ne de rakkha hai mal-o-zar-o-sim
hain magar ahl-e-duwal aql-o-khirad ke muhtaj

is ke aain nahin ab jo amal ke qabil
to ise kar do retire ki purana hai samaj

jab kabhi log taraqqi ki taraf badhte hain
tang uda dete hain kambakht yahi rasm-o-riwaj

hae kya puchhte ho murda dilon ka ahwal
miyan zinda hain magar bewa hain un ki azwaj

na-khudai kiya karta hai talatum khud hi
kheti hain aap hi aa kar meri kashti amwaj

chain se shaikh-e-haram umr basar karte hain
rupaya bank mein hai milta hai mahana byaj

kag ud ud ke ye botal ke sada dete hain
nashsha-bandi ki suna hai koi meeting hai aaj

ab tu jo chahe kare ishq-e-watan mein ai 'shauq'
husn kuchh bol nahin sakta hai de kar sauraj


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close