tawil hijr hai ek mukhtasar visal ke baad mein aur ho gaya tanha tere khayal ke baad tapish ek aur hai din ki hararton ke siwa safar ek aur hai suraj tere zawal ke baad kisi se rakhte kahan dushmani ka rishta hum lahu ko sard bhi hona tha ek ubaal ke baad jo todna hai to dil is ada se tod mera koi malal na ho mujh ko is malal ke baad zara bhi soch na paya main apne bare mein koi khayal na aaya tere khayal ke baad kahan gai wo mohabbat ki jis ke sae mein lipat ke roe the hum donon arz-e-haal ke baad ye dil ki baat hai sauda-gari nahin yaro kisi ne ki hai mohabbat bhi dekh-bhaal ke baad 'shakil' band hua hum pe is ka darwaza kabhi sawal se pahle kabhi sawal ke baad