sukhe hue darakht ke patton ko dekhna phir chehra-e-hatyat ke zakhmon ko dekhna khush-rangi-e-hayat ka paoge aks tum patthar uchhaal kar zara lahron ko dekhna meri nazar mein ye bhi ibaadat khuda ki hai shafqat bhari nigah se bachchon ko dekhna is waste main pas hi rakhta hun aaina mushkil hai apni aankh se jazbon ko dekhna takhrib-e-kaenat ki zinda misal hai sahil pe intishaar ke zakhmon ko dekhna jakdenge ek din wahi rishton ke jal mein ho jae dhund saf to apnon ko dekhna