sham aai teri yaadon ke sitare nikle rang hi gham ke nahin naqsh bhi pyare nikle ek mauhum tamanna ke sahaare nikle chand ke sath tere hijr ke mare nikle koi mausam ho magar shan-e-kham-o-pech wahi raat ki tarah koi zulf sanware nikle raqs jin ka hamein sahil se baha laya tha wo bhanwar aankh tak aae to kinare nikle wo to jaan le ke bhi waisa hi subuk-nam raha ishq ke bab mein sab jurm hamare nikle ishq dariya hai jo tere wo tahi-dast rahe wo jo dube the kisi aur kinare nikle dhup ki rut mein koi chhanw ugata kaise shakh phuti thi ki ham-sayon mein aare nikle