sham-e-furqat intiha-e-gardish-e-ayyam hai jitni subhen ho chuki hain aaj sab ki sham hai ku-e-jaanan dekh kar jannat se yun mayus hun puchhta phirta hun kya jannat isi ka nam hai is tarah duniya hai ek mamura-e-naz-o-niyaz zarre zarre par mera sajda tumhaara nam hai allah allah ye taghaful aur is par ye ghurur kya mujhe nakaam kar dena bhi koi kaam hai han nahin 'simab' mujh ko apni hasti par ghurur jaanta hun main meri duniya fana-anjam hai